Latest Headlines: Saudi Crown Prince Mohammed Bin Salman ne Pakistan chakar lagya.
Report ke mutabiq, Saudi crown prince Mohammed Bin Salman ne Pakistan main May ke dusre hafty main chakar lagya. Jahan Shehbaz sharif ne Arabic language main un ka istaqbal ke liye alfaz bole aur khair o afiyat ke sath shukria ada kiya.
Ye Mohammed Bin Salman ka 2019 ke baad pakistan main pehla dora ho ga.
Shehbaz Sharif ne btya ke Saudi Crown Prince Mohammaed bin Salman ne kaha hai k wo Sarmayakari ke liye tyar hyn. Pakistan ke sarmayakaro(investers) ko puri saholat mohaiya ki jaye ge. SIFC bhi sarmayakari se mutaliq aihm khidmat anjam de rhy hain. Aur jald he hum Companion ki satha per moaide keren gye.SIFC ke plateform se mansobe mukamal kiye jayen gye. Mohammed bin Salman ki Saudi Arab ko jadeed banane ki palesiyo ko tasleem kiya.
Ashaiyah main Army Chief, Wofaqi Wazra, Business Committee ne bhi shirkat ki.
Saudi Naib wazir ne kaha, Islamabad main Pakistan Saudi arab sarmayakari forum 2024 ki iftatahi takreeb aaghaz ho gya. Aur pakistan ko moashi tor per mazbut dekhna chahty hain.
Saudi moawan Wazir Sheikh Ibraheem ka Samajhna hai k Pakistan ko moashi sarmayakari aur karobari mowaqe ke lehaz se zyada terjehi samjha gya hai. Hum pakistan ki jugrafyai aur moashi salahiyat aur talent per yakeen hai. Is ke sath sath pakistan ka mohale waquh aur qomi wasail bhi aihm hain.
Wazir e khzana se ben ul akwami sarmayakaro ke vufud ki mulakat hui. Aur Pakistan main sarmayakari ke imkanat ka jaiza liya gya.
Wazir e khazana Muhammad Aurangzaib ka kehna tha k niji sector ko mulk chlana chahiye aur private sector agye aa ker qiyadat kere aur wozra aur beurocracy ko peechy benchon per bethna pere ga. Hakumat ka kam karobar ni.
Wazir e Petroleum Musadiq Malik ne kaha ke hum karobar chahaty hain madad ni chahty. 3 Hafto se Saudi tajaron se bhara jahaz agya hai aur musbat nataij samne aye hain.
Wazir e Tajarat ka kehna hai ke pakistan niji shobho ko bhi har tarah ki sahulaten farahm kare ga.