5- Cricket matchon ki series ke pehle Cricket match main 3 May ko Zimbabwe ka Bangladesh se samna hua.
Bangladesh ki qomi cricket team Friday 3 May ko Zimbabwe ke khilaf 5 cricket matchon ki T20I series ka aaghaz kiya.
Ainda in teamon k darmiyan T20I series 2024 T20 World Cup se qabl bangladesh k tor per tyari ka kam kiya jo k 2 May ko shuru hua. Bangladesh ke baraaks, Zimbabwe ne Africa region qualifier main Namibia aur Uganda ke khilaf sharamnak shakist k baad T20 World Cup 2024 k liye qualify ni kiya tha. ICC T20I team rankings main 9 no. per mojud Bangladesh ki nazren 12 no. per Zimbabwe ke Khilaf clean sweep kary ge.
Najmul Hossain Shanto ki qayadat main Bangladesh apne home crowd ke samne ye series jeetne ke liye favourite ho ga.
Sikander Raza ki zere qiyadat Zimbabwe agarcha mezbano ke liye asan nahi banaye ga aur Bangladesh k T20 World Cup ki tiyarion ko rokne ki koshish kere ga.
In teamon ke darmiyan aamne samne ka muqabla Bangladesh k haq main hai. Jis ne Zimbabwe ke khilaf 20 main se 13 match jeety hyn, jab ke Chevrons ne 7 mowaqeh per kamiyabi hasil ki hai. In dono fareeeqo ke darmiyan akhri meeting Brisbane 2022 main T20 World Cup main Bangladesh ne Zimbabwe ko 3 runs se shikast di thi.
Is series ke pehle 3 cricket matches Chattogram Zahur Ahmed Chowdhury Stadium main khela gya. Jab ke akhri do cricket match Dhaka, Mirpur ke Sher-e-Bangla National Stadium main hon gye.
Zimbabwe vs Bangladesh T20Is 2024 Schedule:
Tamam Okaat hindustani (indian) muyari waqt (IST) ke mutabiq hai.
Friday, 3 May
Zimbabwe vs Bangladesh – 5:30 PM
Zahur Ahmed Chowdhary Stadium
Zimbabwe Score: 124(20)
Bangladesh Score: 126/2 (15.2)
Sunday, 5 May
Zimbabwe vs Bangladesh – 5:30 PM
Zahur Ahmed Chowdhary Stadium
Tuesday, 7 May
Zimbabwe vs Bangladesh – 2:30 PM
Zahur Ahmed Chowdhary Stadium
Friday, 10 May
Zimbabwe vs Bangladesh – 5:30 PM
Sher-e-Bangla Stadium
Sunday, 12 May
Zimbabwe vs Bangladesh – 9:30 PM
Sher-e-Bangla Stadium
Zimbabwe vs Bangladesh T20I 2024 squads:
Zimbabwe: Sikander raza (c), Faraz Akram, Brian Bennett, Ryan Burl, Richard Ngarava, Luke Jongwe, Wellington Masakadza, Blessing Muzarabani, Joylord Gumbie, Clive Madande, Tadiwanashe Marumani, Sean Williams, Ainslay Ndlovu, Craig Ervine, Johnathan Campbell.
Bangladesh: Najmal Hossain Shanto (c), Litton Das, Tanzid Hasan Tamim, Mahedi Hasan, Rishad Hossain, Tawhid Hridoy, Soumya Sarkar, Afif Hossain, Parvez Hossain Emon, Jaker Ali Anik, Taskin Ahmed, Tanzim Hasan Sakib, Tanvir Islam, Hasan Mehmod, Shoriful Islam, Muhmadullah Riyad, Mohammad Saifuddin