Khatra: India main aya Cyclone Remal (tofan)
Samandari Cyclone Remal (tofan) ki wajah se bangladesh aur india main aai tabahkariyan, kaii Amwaar lakho beghar ho gaye. Link yahan mojud hai.https://youtu.be/XjV3AfCbMTk?si=gJotk-dJP_mEQq9W
Bharat aur bangladesh main tez barisho aur cyclone se majmuhi tor per 30 afrad halak ho gaye. Bangladesh ke sahili ilaqo main lakho log beghar ho gaye.
Samandari Cyclone Remal Sunday ki raat Bengal aur Bangladesh ke sahilo ke darmiyan takraya hai. Jis ke natije main makanat ko nuqsan pouncha hai, Darakht jarh se ookhar gaye hain aur rail aur flight operations bhi mutasir huye hain.
India ke magharabi Bengal Main bhi her taraf tabahi ke manazir he nazar aa rahy hain.
Cyclone Remal 335 Km fee Ghanty ki raftar se chalne wali tez hawaon aur zabardast barish ki wajah se bijli ke khambay aur darakhat ookhar gaye. Landsliding se hazaro ghar tabah ho gye aur sarken band ho gai.
Samandari Cyclone Remal ki wajah se Presidency University ke imtehanat multawi ker diye gaye.
Undergraduate aur postgraduate ke second semester ke imtehanat ko re-schedule kiya gaya.