Libya: Bahera Room main 60 Tarikeen E Watan kashti main bhook o pyas se janbahak Latest news today
Libya: Bahera Room main 60 Tarikeen E Watan kashti main bhook o pyas se janbahak
Tarablus: Bahera Room main Tarikeen E Watan k sath afsosnak waqia paish aya jahan 60 ifrad bhook aur pyas k bais jan se chale gye, media reports k mutabiq rabar ki kashti main sawar 60 ifrad k kashti main hi halak hony ki tasdeeq ki gyi.
Tafseelat k mutabiq Tarikeen E Watan Libya k sahil se rabar ki kashti main sawar ho ker Bahera Room ki janib se rawana huye thy jahan aik imdadi group ne kashti k kharab hony ki nishandahi ki aur is duran rescue ahlekaro ne 25 ifrad ko bacha liya, kashti ka engine 3 din k baad kharab ho gya jis ki bais kashti main sawar ifrad khurak aur pani k baghair reh rahy thy.
Kashti se rescue kiye jane walo ne btya k marne walo main khawateen aur aik bacha bhi tha jo doob ker ni balke bhook o pyas se mare hyn imdadi group k mutabiq osheen waiqing ki team ne wednesday ko durbeen k zariye kashti ko dekha aur phir Italian Coast Guard ki madad se imdadi sargarmiyan shuru ki gayi, rescue kiye jane walon ki sehat intahai kharab thi aur wo bhut kamzor thy jin main se do ki halat shadeed kharab thi.
Libiya ek aisa mulk hai jis k sath samandar lagta hai jo samandar ki dosri side Europe k sath lagti hai jis ka samandari fasla 726 km jo k 451 miles banta hai jis ko paar kerne main 2 se 3 din boat per lagty hain.
Libya ka ye rasta zyada ter africa, asia, arab, pakistan, afghanistan, india, nepal, bangaladesh, yamun, Nijeria, kiniya, suedan, gana k log Europe jane k liye apny halat o waqiat ko bethry lany k liye mulki wasail se bhag ker ye rasta istemal kerty hai.