Site icon GEONEW24

Gold buy and sale information : sone ki khareedo frokht ko smajne ka tareeka.

Gold buy and sale information

Gold buy and sale information : sone ki khareedo frokht ko smajne ka tareeka.

 

1 tola sona main 12 mashy yeni 11.664 gram hote hain.

Ager app 1 tola zewar bana sona(Gold)  sale kerte hain tu suneyara ager tu us ne zewar app ko khud bana ker diya hai. 2 mashy katoti kerta hai.

or ager app ne kisi or se sona banwaya aur sale kisi aur suneyare ko ker rahe ho tu wo 1 tola sone ki 3 mashy cutting  kere ga.

App ne ager 1 tola sona(gold) zewar sale kiya tu cutoti k naam per app ke zewar se 3 mashy sona(gold) nikal liya jata hai. Misal k tor per ajj 1 tola sone(Gold) ki qemat RS:180,000 hai yeni k 1 masha ki qemat RS15000 hai tu app k 1 tola sona(Gold) zewar bechne per suneyare ne app se 45000 cutting ker leta hai.

Pehly yeh k carat kis bala ka naam hai, sone ke khalis pan ko napny ko carat kehte hain. Ab dusri taraf atay hain yeni k ager app zewar banwate hain tu 1 tola sona 24 carat hota hai.

Taqreban 100 % khalis sona 24 carat hota hai jitne carat kam hon ge matlab utni us sone main milawat ki miqdar zyada hoti jaye ge wese ye 99.99% khalis hota hai.

12 carat matlab is main 50% milawat aur 18 carat 75 % khalis aur baki milawat hoti hai. Carat wazan k pemane k liye bhi istemal hota hai dimond or qeemti patharon ka wazan aam tor per carat main kiya jata hai.

Darhaqeeqat, jab app sona khareedte hain tu suneyara aam tor per 15 ya 18 carat sona(Gold) bana ker dete hain aur Pakistan main chund aik bare jeweler ke ilawa kisi k pass 21 carat se zeada sona banane wali machine nhi hai 22 carat bas Karachi main ek do jeweler  bana ker dete hain.

Ager suneyare apko 18 carat zewar bana ker de nhi rhye hain to us ne sone(Gold) main 25 % milawat ki hai. Matlab ager aik tola zewar bana k diya hai to maslan aik tola aik lakh asi hazaar (180000) ka hai to suneyare apko 135000 ka sona de ker rate 180000 rupay laga rhy hoty hai.

Isi tarah ager suneyare ne ap ko 21 carat zewar bana ker diya hai to is ka matlab yeh hai ke zewar ap ko 158000 ka de rha hai jab ke qemat apko 180000 sone ki laga rha hai. Seedhi si baat hai ke aik tola zewar milawat ker ke ap ko bas 135000 se 158000 ka den gye aur qemat puray tole ki 180000 lagayn gye.Kiun k jab wo sona(gold) ke zewar bana ker napty hyn to us main mojoud milawat jo ke koi bhi metal ho sakti hai us ka dam bhi sone ke rate per lag rha hota hai aur sone ke naam pe wo milawat ka bhi sone ki qemat ayse he le lety hain. Lekin wohi sona(gold) jab bechne jao to milawat ko nikal diya jata aur siraf sune ka rate liya jata hai.

Dusra drama un ka polish ke naam pe hota hai aik aadh masha alagh se laga len gye ke itna humara sona zewar banaty huye zaiya ho jata hai jis ki aik tole ke peechy qeemat 9000 se 10000 ho gai.

Yaad rahy ke suneyare ki dukan ka kura bhi lakho main bikta hai aur inka kuch zaiya ni hota. Akhir pe inho ne mazduri dali hoti hai. Ap ke bhut zyada israr pe ap ko mazduri ka 4000 se 2000 chor ker mano ap per bhut bara ehsan ker rhy hain aur kahyn gye ap ne humen bachne kuch ni diya aur yeh mazduri bas ap ko chor rahy hain kiun ke ap ke sath humara dosri ya tesri nasal se taaluq hai. Bla bla bla bla…

Sona bechty waqt sone ki dali banwayn ( wo bhi aihtimaad wale bande se riyat khair wo bhi nahi kerta) matlab milawat nikal de jati hai aur khalis 24 carat sona reh jata hai.

Phir is dali yeni khalis 24 carat sone ko is din ke sarkari rate pe bechen warna apko bhut bara chuna lag jaye ga. Zewar banwaty waqt pehly tehy keren ke sona(gold) 21 carat banao gaye 18 ya 15 jitna khalis wo sona banaye is hisab se 15,18 ya 21 carat ke mutabiq qemat den na ke 24 carat ki qemat adaa karen. Sath dhamki den ke main abhi isi machine pe check bhi kerwaun ga ke ye 15, 18 hai ya 21 carat aur waqt ya sahulat muyasar ho to is ko machine pe check bhi kerwa len ke kitne carat bana aur a ne kitne carat ke hisaab se qemat adaa ki. Meri in sab baaton se ho sakta  mere chand dost naraz hun Educate lekin mera btana farz tha ta ke log yahan ye bhi batata chalu ke sari ungaliyan barabar nahi chand aik acha karobar kerne waly bhi hun gye lekin mere khiyal main in ki tehdad shayad 1% se zyada na ho.

Exit mobile version