Dubai News Today: Dubai Flooding Updates, UAE main shadeed tofani barishen
UAE main takreeban 142mm barish aik din main monday ki raat se tuesday ki sham tak record ki gai, jo ke kabhi bhi dubai mn 1.5 years ki barish ka record bhi itna ni kiya gya.
Duniya ka sab se musroof tareen airport ka runway dariya ban gya.
Dubai ki taraf jab badalo ne rukh kiya to jaise jaise badal ghane gehre kaale hony lagy aur aur kaale hoty hoty puray dubai per chah gye. Badal kuch is tarah se chaye k dubai mn din 2:45pm k waqt aysa andhera chaaa gya jaise koi ghani andheri raat ho.
8Dubai main itni zyada tofani barishon ki waja se wo airport band ho gya jo k duniya ka sab se musroof tareen airport jana jata hai. Us Airport ka runway sylabi pani ki wajah se dariya ban gya. Tofani barish ki wajah se sab musaafer phas k reh gye aur saari flights ko late ker diya gya. Aur tamam musaafiron ko online schedule bhej diya gya aur bola gya k apne schedule dekh k he airport k liye nikla jaye. Qun k bhut se flights main takheer ki gai. Lekin airport dariya ki shakal main muntaqil ho gaya, jis k bawajood bhi aik flight PIA ka Dubai International Airport se Aeroplane Pakistan ki taraf rawana hua hai.
Aur aik Flight jo k pakistan se dubai k liye rawana hui lekin tez barish aur hawaon ki wajah se wo 4 ghanty asman per ghoomti rahi aur mosam tabdeel na hone ki surat main dobara Pakistan wapis agai. Is Barish k beech main bhi airhostreess apna kam bakhubi sar anjam deti rahi.
Yahan tak ke sab ko agah kiya gya ke hai k tofani bijli aur oolay perne ki bhi paishgoi ki gai, jis ki wajah se ghair zaroori bahir na nikla jaye. Is ko derhh saal ki shadeed tareen barish tasawr kiya jata hai.
Tuesday ki shab se tamam schools aur offices ko band kerne ka ailaan ker diya gya jo mazeed wednesday tak band rhy. Aur tamam classes online shuru ker di gae hai.
Fujairah main pani takreeban 3 feet unchai tak pouncha jis mn roads, gariyan ,dokane , malls aur caren pani mn doob gai.
Dubai hills ke area mn bhi pani ki satha kuch jaga road per 1 feet unchai tak pani thera rha kuch gehrai ki jaga tak 2 se 3 feet tak uncha rha hai.
Dubai RTA Metro station andar bhi pani bhar gya, jis ki wajah se electronic machino ne kam kerna chor diya.
Duniya ka sab se bara Dubai Mall jo k Burj Khalifa k pass mojud hai, tofani barish k pani se asr andaz hua. Pani us mall ke andar ghus gya aur sab dokandar us ko wiper ko istemal kerte huye apni apni dukano se nikalne lagy.
Yahan tak ke Dubai ki sonay ki market ki har dokan mn pani chala gya aur tofani barish ki wajah se tamam road bhi band ho gye. Aur authoritiyon ne tanker, trucko ko bheja ta ke wo gaaliyo mn ja ke pani ka rukh mor sakyn. Aur us ko dhakelyn ta ke kuch rukh badla ja saky.
lekin is main bhi logo ne social media ka istemal kerna ni bhoole, jahan kuch log duniya ko mosam k halaat btane ke liye videos aur pics share ker rahy thy wahan kuch log is social media per funny videos aur vlog banane main bhi mashghool rahy.
Jis jaga Allah ne Anbiya ko bhej ker buto ki puja rukwai thi, Dubai main phir buton ki puja shuru kerwai gai jis ka tuorism ko berhane ke liye opening ceremony 14 february ko kiya gya. Jis ki wajah se aj wahan aisi Barish ho rhi hai aur us din ko bhi tez dhar barish hui aur silaab chaa gya.
Sharja city bhi puray ka pura silaab k pani ki lapet main agya. Aur petrol pump, sharja centre aur gariyan doob gai aur caren waghera pani mn terne lagi.