Chikungunya virus ka Pakistan main tezi se philao.
Chikungunya virus ka Pakistan main tezi se philao hota ja raha hai. Aur is ke ilamat kya hain?
Chikungunya virus aik mutasara machar ke katne se logo mn phelta hai.
Health Expert ne ehm aagahi farahm ker di hai ke jin logo ko bukhar ki kefiyat mehsoos ho ri hai ya joron main aik hafty se dard ho wo waqt zaiya kiye baghair doctor ke pass jayen aur chikungunya ka test kerwayn. Kiun ke Karachi main chickungunya ke cases main waziah izafa dekha ja raha hai.
Is ki karachi mn zyada phelne ki wajha germi zyada hone ki wajaha se pani ka thehrao zyada hai yahan tak ke punjab main bhi is ke cases berh rahy hai jahan bhi pani ka tehrao zyada ho ga wahin pe chickungunya zyada ho ga.
Is se knee main pain, shadeed bukhar aur headache aur rashes ki ilamat zahir hoti hai.
Dengue mosquito aur chickungunya mosquito dono aikjaise hai kya?
ye wohi dengue wala mosquito ya machar same hai sirf virus ki qisam mukhtalif hai is se alfa virus cause hota hai jo wbc pe effect hota hai lekin red platelets pe bhut kam hai.
Is ka ilaj ni hai aur na he vaccine istemal ki gai hai. 2003 mn vaccine tyar hui thi wo US main he hai.
Aiteyat: jo patient apna hydration rakhty hai to bed rest rakhty hai. Aur dehan rakhyn k kahin bhi pani khara na ho.
Leave a Reply